About this blog

Love is giving all of yourself, everything, with no hope or expectation of return."

Thursday, March 11, 2010

Tu Kabhi Khud Ko : Hindi Ghazal

Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega,


Itna maayus na ho Khilvat-e-Gam se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega
,


Tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte reh jaaoge,
Aur vo baam-e-rafaaqat se utar jayega
,


Zindagi teri aata hai to ye jaanevaala,
Teri bakhshish teri dehaliz pe dhar jayega,


Dubate Dubate kashti to ochhaalaa de duun,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,


Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega
.

No comments:

Post a Comment